Lyrics

Maine jo bhi socha mujhe karna hai badhna hai Zindagi mein mujhe kuch banna hai kyunki jab leni hogi aakhri saans Thamegi jab dhadkanein mujhe thodi izzat se marna hai Apno ne thooka mere mu pe kai baar Yahi apne mere hain mere sabse paraaye Kyu main hone laga khafa kisi or se jab ye or hi hain jo maine apne banaye Maine kiya jo main chahta tha likha jo main chahta tha Sabki suni fer kiya jo wo chaahte the likha jo wo chaahte the Diya jo wo maangte the jana faayeda nahi ye sab unke bahaane the Par main ruka nahi kabhi likhne se wo jo mere dil mein daba hai kisi kitaab sa Har panne mein jiske seekh meri jo mili mujhe jaise koi hisaab sa Chup hona mera nahi buzdili main chup tha jab koi lihaaj tha Jab bolunga main to jalega sara jahaan har shabd mera hoga tezaab sa Ab darr nahi kisika kyunki maine utaare kai bhoot Jaise jhooth bhaage door sachchaai se Rote rote jaaye sare meri life se jaise dulhan koi vidaai pe Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main darta nahi Bhagwaan se Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main karta dua Shaitaan se Sab jo mujhe jaante hain maante nahi ki main bhakt nahi Shaitaan ka Mujhe padi nahi unhe samjhane ki kyu main ghulaam nahi Bhagwaan ka Bhagwaan ko main agar lagunga galat to mera karega hisaab wo khudse hi Use zaroorat nahi tum bhakto ki jinki pooja bas ek zaroorat hi Shaitaan se darte kehte tum vishwaas humara Bhagwaan mein Jab hai vishwaas Bhagwaan mein to fer darte kyu Shaitaan se Maine kabhi mana nahi kismat ko mana maine khudke karam mere witness ho Vishwaas mera meri taaqat ho naki mera yahi vishwaas meri weakness ho Mere liye luck jaisi koi cheez nahi ya ye cheez jo hai mere paas nahi Mere sath hai bas meri Aashiqui jo abhi nibhaane ki meri aukaat nahi Sochta hu kai bar rukne ki main thamne ka dil mera karta hai Kosta hu kabhi kabhi khudko main marne ka dil mera karta hai Rokta hu khudko jalne se isi aag mein jo aag maine khud hi lagaayi Lapto ke beech main leta hu saans har saans mein mujhe deti arthi dikhaayi Meri soch samajh ke paar tumhari, soch tumhari ghulaam hai Suno dhyaan se kaha hai viraam kaha liya maine alp viraam hai Meri baato ke peeche hai prashna chinh inka uttar ek taale ki chaabhi hai Kholegi dimaag tum sabka ye meri shabdaavli vidyut gaami hai Sthaan tera mitti mein khana tu dhoke khata hai bachne bimaari se Jeev khud hi aisa anu jiske bane dharti ke kaal kare taandav kisi madari se Leta hai gehri saans kholne teesri aankh Pehchaan tu pehle khudko sheeshe mein Maan tujhi mein kya kami chorh rakhna jhooth tu seene mein Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main darta nahi Bhagwaan se Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main karta dua Shaitaan se Sab jo mujhe jaante hain maante nahi ki main bhakt nahi Shaitaan ka Mujhe padi nahi unhe samjhane ki kyu main ghulaam nahi Bhagwaan ka Bhagwaan ko main agar lagunga galat to mera karega hisaab wo khudse hi Use zaroorat nahi tum bhakto ki jinki pooja bas ek zaroorat hi Shaitaan se darte kehte tum vishwaas humara Bhagwaan mein Jab hai vishwaas Bhagwaan mein to fer darte kyu Shaitaan se Koi issue ni mujhe bhagwaan se na shaitaan mein dam mujhe dharne ka Zara poocho jaake har insaan se aakhir kisme hai dam mere gham ko harne ka Mujhe fark nahi ye koi tark nahi har sadak le jati swarg nahi Kuch darj nahi ya koi marz nahi meri tadap ke aage nark nahi Koi karz nahi par mujhe harz nahi mera farz nahi karna ghulaami Hu paagal ya hu zakhmi meri dhadkan jaise tsunami Aakhir kyu mera maan na zaroori hai har baat ko Jo tujhe lage theek teri soch se kyunki jaanta hu main jo teri khoj hai Wo bani baithi hai mujhpr bojh si jaise mera rakhwala hi mujhse krodh mein Dene aaya ho dard na ki bharne ghaav mere jo hai saath mere Jaise saansein meri soche chorho ise ab bas bahut hua Jo jhukta nahi wo sanak chuka shaitaan ke roop mein janam chuka Hasti mitegi pachtaayega koi dega na sath mit jaayega Apmaan ka roop Agyaan ka saathi Abhimaan Guroor or Eershya ka paathi Todta niyam Kosta kaafi Soche nahi bas Krodh ka aadi Maangta shodh karne ko bodh ki aakhir hai Bhagwaan ya bas hai afwaah hi Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main darta nahi Bhagwaan se Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main karta dua Shaitaan se Sab jo mujhe jaante hain maante nahi ki main bhakt nahi Shaitaan ka Mujhe padi nahi unhe samjhane ki kyu main ghulaam nahi Bhagwaan ka Bhagwaan ko main agar lagunga galat to mera karega hisaab wo khudse hi Use zaroorat nahi tum bhakto ki jinki pooja bas ek zaroorat hi Shaitaan se darte kehte tum vishwaas humara Bhagwaan mein Jab hai vishwaas Bhagwaan mein to fer darte kyu Shaitaan se
Writer(s): Aakash Deep Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out