Music Video

Parvaaz
Watch {trackName} music video by {artistName}

Featured In

Credits

COMPOSITION & LYRICS
Ali Ghazanfar
Ali Ghazanfar
Songwriter

Lyrics

Maaf karain, thohri daair hogayi Jeevan raat shuru, khatam jo savair hogayi Galatfehmiyon se rishton mein ab ch'hair hogayi Meri shakal tasveeron mein safaaid hogayi Maine aarzu jo bhari, mujay paish hogayi Dheere Dheere saari dunya ab tez hogayi Dheere Dheere saari dunya faraaib hogayi Meri shayari bhi ab hairatangaiz hogayi Tere liye zindagani mehz khel hogayi Mere liye zindagani goya jail hogayi Mera pyaar unhain lagga jaisay thais hogayi Rung raiz hogayi, rung raiz hogayi Khwab e Baytabi raati chamak dekhi aap mein Aap ki Khamoshi bhi tafseel se jawaab day Aaj thama khud ka haath, khudse lambi chauri baat Dekha aina aur kaha Ali shakhs aap kamaal thay Kia khoob unsay maan thay Ke Mujay paalna dhaiyaan se, pathar maray log aur main bana hua kaanch se/ Ab- Ab to dar nai laggay dar se Rappers phunchna chahay lekin chohtay mere qadd se Kabhi kabhi peeta aur tajawaz hui hadd se Aur khabardar rehna saray tum sab mere sharr se Maaf karain, thohri daair hogayi Jeevan raat shuru, khatam jo savair hogayi Galatfehmiyon se rishton mein ab ch'hair hogayi Meri shakal tasveeron mein safaaid hogayi Maine aarzu jo bhari, mujay paish hogayi Dheere Dheere saari dunya ab tez hogayi Dheere Dheere saari dunya faraaib hogayi Meri shayari bhi ab hairatangaiz hogayi Hum awaaz dain to aatay nahi ho Dil ki baatein ab bataatay nahi ho Ana paal li hai tumne, to phir jao tum bhi mere dil ko pehle jaisa bhaatay nahi ho Jadon ujri jindri meri soch hovay Aajiz inna pavan jini marzi phonch hovay Maula Madad, raati seenay vich bojj hovay Shaid ainji honda Jadon niyat vichi khott hovay Woh sotay mujpe issi waja se main sota nahi ab Manfi logon se haan mera koi Samjhota nahi ab Pehle hota tha jo dard, ansu ka samandar lekin aankon mein to ek Aansu hota nai ab Farishtay jaldi ayeingay Poochain gay sawaal aur meri jaan lay jaye gay Mujay rab se milvaingay Dunya ke woh raaz mujay tab samaj ayeingay Wah tumhara fun, tum jhoot ke fankaar thay Khair jo bhi thay lekin mere dildaar thay Kisko pata jaisay taisay mere bere paar thay Dil e muztar kehta yeh ab dil e bayzaar se Maaf karain, thohri dair hogayi
Writer(s): Ali Ghazanfar Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out