Music Video

The Void
Watch {trackName} music video by {artistName}

Featured In

Credits

COMPOSITION & LYRICS
Aryan Sharma
Aryan Sharma
Songwriter
Syed Bilal
Syed Bilal
Songwriter

Lyrics

Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena Barsa hi dena Tarsa hi dena Saza hi dena Barsa hi dena Tu chheen chuki saari zameen Saat mere surr saato sahi Aankho mein paani jo vo ashq nahi Isey bulata main teri kami Ab na raha thoda bhi dam Logo ko lage hath me hai rum Dikhe na kyu tere diye hue zakham Maine sab bhula diya reh gaye bas tere gham Uss barsaat ki ek boond hai tu Ashqo me kho na jau aake dhundle tu Chahe ruth le tu, shaitaan ka rupp le tu Shaitaan bhi bole kya khoob hai tu Kya khoob banaya mera mazak Galtiyo ki baat na kar khaamiya haazar Tera har jhutt sunne ko betha beqarar Jawaab se dugne reh gaye mere paas ye sawaal Sawaal chhord bata kaise hain halaat Done overthinking ab toh guzar chuke saal tere bina Betha gungunata bass mere ye taal Sunata tumhe par tum to rahe bhi na Rehguzar banchuke ho tum Duniya ke rango me dhal chuke ho tum Band kitaab the khul chuke ho tum Ab kya hi bolu tum ho chuke gum Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena Itne ghum do ke hans bhi na paun Zindagi bhar baitha hijr ki main rasme nibhaun Shehr e dil mein main kis tarah usko basaun Usse shikayatein hain, main bhi rehta khud se khafa hun Zindagi fucked up Tu bhi rehti pareshan main nashe mein yun farsh pe parha hun Yar dete rahe dilase, kaise haal samjhaun unhe Kaise haal samjhaun tumhe Aankhein boht mili meri wafa ke tamashe ke liye Kandhe qafi the jazbaton ke janaze ke liye Bas maan lo voh aaye hi the jaane ke liye Tumhe aaina dikhane ke liye Bas maanlo ke zindagi yeh sehne ka naam hai Voh puche lowkey kahan mar gaya, mera jeena haraam hai Har ek lafz pe daam lage yeh ashq jaate raegaan nai ab Mera saga mera saya bhi nai Kyun mudke tu aaya bhi nai Ghar ki veerani rahi cheekhti Bahir main karme se aya bhi nai Na zyada bhi mila kuch mujhe aur kuch gawaya bhi nai Taa umar bas ladta raha khud hi se Aakhir mein haath kuch aaya bhi nai Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena Barsa hi dena Tarsa hi dena Saza hi dena Barsa hi dena
Writer(s): Aryan Sharma Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out