Top Songs By UMX
Credits
PERFORMING ARTISTS
UMX
Performer
Nicks Kukreja
Performer
Abhishek Ghatak
Performer
COMPOSITION & LYRICS
Umar Mukhtar Imam
Songwriter
Lyrics
Kya ashiq mai hun
Bulaane se ata nahi
Jaan hazir rakhun
Mai in sabko bhata nahi
Qurbaan
Jaan kardun jo
Toh kehte kyu yeh pal haseen
Sab aankhen mujhpe ghadi
Kehte kuch tu karta nahi
Par mai
Pal dhundun aise ki
Kuch hasil karlun
Jo ilm bacha hai khudpe nazil karlun
Bas chidne se matlab nikalne se kuch bhi ni
Kamil hoga khudko sabit kar tu
Phir bolega kya rona kya girgidana
Kya paisa kya shohrat kya hai yeh khazana
Sab khat mere zaya yeh khudmai fasana
Sab majbooriyon ka banate bahana
Par
Khudpe bharosa hai
Tu daudega ab tak kisne tujhko roka hai
Toh jab aaye tujhko bulava
Tu dariya bhi par kar jaana
Aur kehna ki
Sab ke sab matlab ke rishte
Jo marjaunga toh maujood hon farishte
Aur qabar mai piste piste yeh sawaal
Ki kahan hai dost bas itne hi bistar
Iska toh soncha hi kabhi ni
Jo kala ki hui ni kami bhi
Aur nukte nikale ni kabhi bhi
Aur khudse mai puchun har baar
Bas ek hi sawaal
Mai puchun har baar
Bas ek hi sawaal
Mai puchun har baar
Ke kya
Kya
Aashiq mai hun
Bulaane se ata nahi
Jaan hazir rakhun
Mai in sabko bhata nahi
Qurbaan
Jaan kardun jo
Toh kehte kyu yeh pal haseen
Sab aankhen mujhpe ghadi
Kehte kuch tu karta nahi
Kya mai aur kya tu
Sab bante jadugar
Isi wajah se mai bas apne paas hun
Kya dun
Kya dun safai
Jo jaan pe hai aayi
Mai jeeta raha is tarah kyun
Kinse gila karun door
Kahenge huzoor
Jab dekhenge woh mera taboot
Ansu
Aate ni aankhon se
Girta bas pani
Jo thoda rehgaya ho makool
Karna bharosa bas khud pe yahan
Tu kisi ka dost na kisi ki jaan
Aur ummedon ke na jo toote makaan
Toh ab rishtedar bhi kehte shabash
Toh syaahi bandishon mai qaid ni rakhna
Aur apne kisi se tu bair ni rakhna
Ik bari aazmaya
Nikla galat dost
Dost kya rakhega gair nahi rakhna
Yahan sab munasib hai aashiqui mai
Aur mai dushman bana betha khud ko
Kar dega hamla jo apna zameer
Toh karne ni deta mai chizen kyun usko
Kya hai bharosa
Aur kya gham hai
Kya hai sharam mere andar
Kya se kya hua hua mai
Aur mai bhar deta pura samandar
Qurbaan
Jaan kardun jo
Toh kehte kyu yeh pal haseen
Sab aankhen mujhpe ghadi
Kehte kuch tu karta nahi
Lyrics powered by www.musixmatch.com