Top Songs By Abid Ayub Qadri
Lyrics
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Bhala kese nazar aaye nabi ke jism ka saaya
Nabi to noor hain or noor ka saaya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Dikhaana tha khuda ko rutba Sarkaar e do aalam ka
Yun pal main laa makaan tak rab ne bulwaaya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Tasarruf hai mere sarkar ko har cheez par warna
Ishaare se shajar yun jhoom kar aya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Agar hote mere aqa bashar teri tarah najdi
To be jaan kankaron se kalma parhwaaya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Mere Sarkaar ke sadqe mila hai rabb e akbar bhi
Nabi ko chor kar najdi khuda paaya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Bachaaya mere aqa ki sana khwaani ne mahshar main
Wagarna Abid e bekas ka sarmaaya nahi hota
Madeene main qadam sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Madeene main qadam Sarkar ka aaya nahi hota
To us main baagh e jannat ka maza aaya nahi hota
Writer(s): Abid Qadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com