Lyrics

Saqi Yeh Khud Kahe Tujhe Paimaana Chahiye Matti kharaab karte ho kyuN beemaar-e-hijr kee Jo tum pe mar gaya use dafnaana chahiye AankhoN mein dam ruka hai kisi ke liye zaruur Goe haath ko jumbish nahin aankhoN mein to dam hai Rehne do abhi saagar-o-meena mere aage Kyunki mere... AankhoN mein dam ruka hai aankhoN mein Kehna sitam ko chodo lillah na ab satao Aankhein taras gayiiN hain aa jao aa bhi jao Khuda ke liye ab to aa jao warna... AankhoN mein dam ruka hai aankhoN mein Apne mareez-e-hijr se ab to na beniyaaz ho AankhoN mein dam ruka hai aankhoN mein Qaasid payaam-e-khat ko dena bahut na tool Bas mukhtasar ye kehna ke aa jao AankhoN mein dam ruka hai aankhoN mein Kab aaoge aaoge?? Aa jao Khuda ke liye aa jao Kab aaoge?? Maah basant mein panchami aayi Sakhian karat sab haar singaaro Kiska main joda basanti rang pehnooN Jab naahiiN mere Shaam pyaaro Kab aaoge?? Diya sao deevari nagar sab jag mag Maine madar mein dia hi na baaro Mein kehti phiruuN ke Kab aaoge?? Aate aate lab pe aahein thak gayiiN Aa bhi jao ab nigaahein thak gayiiN Kya ban ke qayamat ka sabab aaoge?? Chayi hai ghata aur barasti hai sharaab Tum ab bhi na aaye to kab aaoge AankhoN mein dam ruka hai kisi ke liye zaruur Varnaa mareez-e-hijr ko mar jaana chahiye Vaada andheri raat mein aane ka tha Qamar Ab chaand chhup gaya unhein aa jaana Chahiye Kehte hain mujh se ishq kaa afsaana chahiye
Writer(s): Traditional, Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics powered by www.musixmatch.com
Get up to 2 months free of Apple Music
instagramSharePathic_arrow_out