Lyrics

Raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye Jaise sahraon mein haule se chale baad-ae-naseem Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye Aaj ki baat phir nahin hogii Yeh mulaqaat phir nahi hogii Aise badal to phir bi aayenge Aisi barsaat phir nahi hogi Ik nazar murke dekhne wale Kya yeh hairat phir nahi hogi Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi Chaandni raat raad aati hai Yeh mulaqaat yaad aati hai Dekh kar un ghaneri zulfon ko Mast barsaat yaad aati hai Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi... Jis taraf uth gayi hain aanhen hain Chasm-e-baddur kiya nigahen hain Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi... Jidar uthai nazar qatl-e-aam tumne kiya Qazaa ka naam huya aur kaam tumne kiya Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi... Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya Lutt gaye hum to pehli mulaqat mein Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Ik dil hi nahi us bas mein Hum na jaane kiya kiya bhul gaye Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Gairon ke fasane yaad rahe Hum apna fasana bhul gaye Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya Kya kya nigah yaar bata hasin ho gayi Bijli kabhi bani kabhi shamshin ho gayi Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi Humne bachai lakh magar phir udar gayi Unki nigah mein koi jadoo zaroor Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain Khoye khoye se hum reh gaye hain Bant li sabne aapas mein khushiyaan Mere hisse mein ghum reh gaye hain Ab na uthna sarhaane se mere Ab to ginti ke dum reh gaye hain Aye saba aik zehmat zara kar Unn ki zulfon mai hum reh gaye hain Kainat e jafaa o wafaa mai Aik tum aik hum reh gaye hain Aik tum aik hum reh gaye hain (Raag) Aik tum aik hum reh gaye hain Aaj saaqi pila sheikh ko bhi Ek yeh mohtaram rehe gaye hain Nazar mila ke mere paas ja kar lut liya Nazar hati thi ke phir muskura kar lut liya Koi yeh lut toh dekho ke usne jab chaha Mujh mein rehe kar mujhmein sama kar lut liya Na lut-tay hum magar un mast angriyon ne jigar Nazar bachaatey huay dub dubaa k loot liyaa Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya Lut gaye ham toh peheli mula qaat mein Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya Lutt gaye hum to pehli mulaaqaat mai Saath apnaa wafaa mai na chootay kabhi Pyaar ki dor ban kar naa chootay kabhi Choot jaye zamaana koi gham nahi Haath teraa rahey mere haath mai Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein
Writer(s): Farrukh Fateh Ali Khan, Abdul Sattar Niazi Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out