Lyrics

Khud se bhi mila kare Sarr utha ke chala kare Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte, hum usse kya gila kare? Duniya sang dil banti meri dushman Hum kam-az-kam khud se hi sulah kare Kam bola kare, zyada suna kare Rab deta hai maafi phir gunaah kare Ye taqaat thikaane badal sakti Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti Likhaari jaan leva hun par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti Warna zindagi mauke toh kam dety Mehfilo me toh ronak bhi humse thi Idhar hustle karte-karte pura din gaya Urdu rap main, Urdu rap mere bin kya? Facts hai ye flex nahi Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi Wo habib hai mere toh mujhse durr kyun? Wo hareef hai mere toh unki khair nahi Aaj kal, bheje mujhe text sab Whatsapp pe they wanna know what's up Meri zindagi kitno ki hasrat Main misaal mera naam lete maslan Dil phenk ke na dil todd, Billboard pe ab dikhe shakal inko Mera bank balance lagta tha pin code Ab safar dekh sirf sifar gin tu Aye, I belong here, jaane ka mood nahi hai Headliners hum, teri koi news nahi hai Kya wo sunte par karte mehsoos nahi ye Waade toote par toote asool nahi ye Jo bhi hustle thi gayi wo fuzool nahi hai Lekin duniya toh faani hai, bhool nahi ye Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir Paagalpan ki hadd tak junoon bhi hai Tum subh rakh lo, main shab rakhta hun Main jalwa, jalaal aur karb rakhta hun Iss hi dil me rakhta hun dard apno ka Dil ka ek khaana ab sard rakhta hun Zarurat aur khwahish me farq rakhta hun Hisaab se lafzo me harf rakhta hun Dildaar hun main bada par dil shikasta hun The joke is on you, main tum pe hasta hun Sehma tha dil par tha yaqeen Ladkhadate kadam par rasta wohi Siyaahi me doobi zindagi toh seekha udna tabhi Aazma le, zakhmon ko tu apna le Mashal tu dil ki jala le Dekhegi duniya sabhi Aazma le, zakhmon ko tu apna le Mashal tu dil ki jala le Dekhegi duniya sabhi (Music) Baate ye mukhtasar, main karta raha mustaqil Nahi hote mushtamil, kahani ye mukhtalif Ye khwaab huye muntaqil, Kaghaz mushta'il Urdu rap aur main uska dil, munafiq jo munfa'il Log muntazir they iss qadar, phir kis ka darr? Hum muntakhab, sab muntashar, jab chunte lafz Ab sunte sab, ye khush khabar, jo bad-nazar, wo darguzar Ye dhunn pakad, kyun besabar? kyun be asar? tu le sabaq! Ab befikar ye sher arz, motabar ho beshtar Ho der jab toh be adab, ye khel ab Lagta na mumkin Main aur mere khwaab, jeena chahta hun main khul ke Qalam ye azaad, yahan nizaam saare ulte Lagi jaise aag, shehar baarishon me dhulte Dil me ho dard jab yahan kalakaar rulte Zindagi paheli, bujho jaano kitne uljhe Andhere me chiraag jaise hi ye lehja sulge Kate mere parr phir bhi jaane kaise udte Mujhe udne de, toote jo dil aaj wo judne de Inn aankhon ko khushiyon se bharne de Alfaaz mere dil me utarne de Manzil toh khush ho theharne pe Ye ghar mera, jadd ko na marne de Ubhrenge, suraj ye dhalne de Waqt lage khud ko balalne me Magar waqt ye badalta hai Safar ye taveel beshak nange pair chalta reh Chubhe pade qeel, khuda zakhmo ko bharta reh Khud pe yaqeen hai toh zamane se ladta reh Tha hi na kuch khone ko, har ek gully, har ek kone ko Main karta hun mutaasir apni baaton se, chal hone do Jo so rahe the sone do, main likhne baitha pauney do Raatein na mili sone ko, in khwaab'on ko pirone do Dekha tha jo kal wo toh jee raha hun aaj main Likhe asal haadse, saare bane hai khaak se Jaana hai humne khaak me, ye ilam mera baant de Nahi koi bade baap ke, hai fakhar apne baap pe Aaj bhi iss shayari me saadgi, jazbaat bhi aur ye ehsaas bhi Hai sabar ka phal meetha aaj bhi Ye hunar, dil'on ki awaaz bhi Sehma tha dil par tha yaqeen Ladkhadate kadam par rasta wohi Siyaahi me doobi zindagi toh seekha udna tabhi Aazma le, zakhmon ko tu apna le Mashal tu dil ki jala le Dekhegi duniya sabhi Aazma le, zakhmon ko tu apna le Mashal tu dil ki jala le Dekhegi duniya sabhi
Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out