Lyrics

Tujhe jab bhi sochu tou sochu duniya se pare Mukhatib khuda se puchu faasle kyu bade Tu saath ho mere tou hum kisi se na dare Band kamre mai baith ke ab khudhi se lade Teri har baat yaad kisi unwaan ki tarah Uski fikrr khaa rahi hai mai paasban jo bana Aadmi to har ek koi insaan na bana Shab-e- intzaar tou ibtadaa se raha Mai aage jo badha phir ruka nahi mai Nazre hai neeche par jhuka nahi mai Dil mera tuta par dukha nahi hai Ankhein huvi laal par fuka nahi mai Ab humse raaton ko soya nahi jata Yaadon mai teri mazeed roya nahi jaata Jo daag laga daaman pe dhoya nahi jaata Jo chala jaye ek dafa phir laut ke nahi aata Jese yaar bana tha tu mera dard-e-dil se pehle Phir haar maan gaya tha tu sang dil se pehle Chorha aadhe raaste mai manzil se pehle Jaun tou nahi mai phir kese ye sab sehle Masjiden khali mekhano bheed Tu rehta zameen pe mai upar shaheen Mujhe duniya se jodh ke rakhe sangeet Hai haar manzoor na beekh ki jeet Maine qalam uthaya tha bichde yaar ke liye Maine qalam nahi uthaya jeet haar ke liye Maine qalam uthaya tha apne khuwaab ke liye Maine qalam uthaya dil e intshaar ke liye Mujhe apne lagte yahan zyada gair Mujhe samjhe na Koi na tty apna chalo khair Mujhe apne hi lafzo ne kiya hai qaid Sach hai kadwa kyu mujhe lagta shehad Baatein meethi inki mujhe lagti zehrr Hosh mai yhu poora par likh nahi paara Mai kitne gunaahon ka karu kafaara Tu shor-e-samandar mai shant kinaara Mai chamkuga aasman mai banke sitaara Tumbhi pachtaoge kya tumne haara Chand ghadiyaan nahi zindagi ka khasara Tum saath the kuch waqt ka guzara Kuch jeeta na tumne na kuch maine haara
Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out