Lyrics

Malal zindagi se hai malal tujhse tou nahi Sitam tou humne hi sahe ye tera kamal tou nahi Jisse samjhta tha mai zindagi wo maut ki wajah bani Aankhein ke ye rone ke sabab lal tou nahi rahi Laboun ki guftagu nahi aakhon se baat hoti hai Saaki ki haathon ki tou zehar bhi sharab hoti hai Mere hi sawaalon pe wo kyu lajawab hoti hai Bichde yaar ke bina tou jannat bhi azaab hoti hai Samajhta mujhe kaun aur samjhe mujhe yahan kaun Daastan e zindagi bayaan karu mai #Jaun Hosh se bahar rahu iam little bit stoned Duniya khojne mai nikla khudko bhula ke mai kaun?? Bhatakta raha har jagah par manzilein mile nahi Ab tu kya chupana hum ghar se nikle hi nhi Ek band kamre mai hum likh rahe daleel teri Hath mai qalam e kagaz aur saamne tasweer teri Ghar se mai door tou kaise manao eid Ahl-e-dil mai sada rahi hasrat-e-deed Beetta hai waqt jaise aab e ravaan Paas rehte kuch yaadein aur kuch tasaweer Aas paas gadidh aur dil mai gubaar Dil ke shehar mai bas cheekho pukaar Kuch cheeze thi pehle jo dil ka sukoon Qasam khuda ki ab lagti fuzool Ye duniya daari jo zehn pe taari Ab zehn bhi khali prr dil kyu bhari? (kyun) Jo dil ho bhaari phir kheech hi leta yaadein saari Karu taabir-e-zindagi tou dikhe sirf gumraahi Ek shaksh ke khaatir ki duniya paraayi Jab reh gaya akela na tu raas aayi Jab reh gya akela tou yaad aayi khudayi Jab se ghar kar liya tunne shehar e khayal mai Tab se hosla shikan aur dil be-qarar hai Jo baag tha dil ab ho chuka mazaar hai Jab tak jaan thi baaqi na pucha haal kisine Maut ke baad qabroon pe gulab Maut baad band zindagi ki kitaab hai Maut ke baad bhi milena kuch na jawab hai Maut ke baad hi hona tera asli hisaab hai Ghar se mai door tou kaise manao eid Ahl-e-dil mai sada rahi hasrat-e-deed Beetta hai waqt jaise aab e ravaan Paas rehte kuch yaadein aur bas tasaweer Tasweero ko seene se laga ke sogaya Huva sukoon dastiyaab tou shama bhuja bhool gaya Hote hote aakhir tujhse mai door hogaya Mai jank raha maazi ko tera gham mashoor ho gaya Hota izaafa gham mai,Jab bhi sunata ye dukhde Kya bayaan kare gham mera bhala ye kagaz ke tukde Hum poochne se dar rahe aur tum keh ke bii mukray Hai kuch wajah hi aesi tabhi abb hum zyadaa chup rahe Abb hum khamosh baithe mehfil mai na kare baat zyada Likhun qalam se ab aasman pe ye hi iraada (Bas Yehi h Iraada)
Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out