Music Video

Shayar - Nasir Shah | Prod. by @zaazze
Watch {trackName} music video by {artistName}

Featured In

Credits

PERFORMING ARTISTS
Nasir Shah
Nasir Shah
Performer
Zaazze
Zaazze
Performer
COMPOSITION & LYRICS
Nasir Shah
Nasir Shah
Songwriter

Lyrics

Ek shor sa utha hai mere dil ke veeranay mai Tujhse behtar tujhe jaanu bss ab aur na bahanay de Kya numaish karu ghamo ko ab ho chuke puraane ye Aa baith kabhi saath mere sunao tujhe apne gaane ye Wo gaane jo sune bss deewaro ne Karu raat bhar baatein kyu sitaaro se Wo kho chuke mujhmein par mai khud se hi lapata Aaye tou the bohot par koi le saka na teri jagah Duniya kay iss Shor Mai khudse hi kar rha hu baatein Kya bataein tumko kitni raatein baithe baithe hi jaage Pehle sab hota tha theek par ab baarishon se gehre naate Huvi gham ki intiha tou shikayaten ki khuda se Mila na jawaab mai bass dhundta gaya Suna duniya hoti gol aur mai ghumta gaya Pehle huva la makaan aur phir tujhse bhi be khabar Mai nashe mai madhosh bas yu jhoomta gaya Khuwaab-o-khayal jazbaat aur hum Jana kyun dikhte ab sitaaro mai tum Khamoshi ho gayi hai taari inn labo pe Sabar Hogaya Hum Pe Barham Khuwaab-o-khayal Jazbaat aur hum Jana kyun dikhti ab sitaaro mai tum Khamoshi ho gayi hai taari inn labo pe Sabar hogaya hum pe Barham Aesa bhi nahi ki mere bulane se wo aagaya Jab reh na saka tou kisi bahane se wo aagaya Dard nazar tou nahi aaya par dil mai yu samagaya Ki aansu aaye aankh mai tou haske mai baha gaya Kal tak tha jo haasil aaj la haasil ban gaya hai Kal tak tha jo rehbar aaj wo baatil ban gaya hai Kal tak tha jo apna aaj woh qatil ban gya hai Kal tak tha jo saga aaj wo qaafir ban gaya hai Mere safar se keh aao musafir tera thak gaya hai Dikh rahi hai manzil usko par chalte chalte thak gaya hai (Mere safar se keh aao musafir tera thak gaya hai) (Dikh rahi hai manzil usko par chalte chalte thak gaya hai) Khuwaab-o-khayal jazbaat aur hum Jana kyun dikhti ab sitaaro mai tum Khamoshi ho gayi hai taari inn labo pe Sabar hogaya hum pe Barham Khwaab-o-Khayaal, Jazbaat aur hum Jana kyun dikhti ab sitaaro mai tum Khamoshi ho gayi hai taari inn labo pe Sabar Hogaya Hum Pe Barham Iss shayar ki ye shariyaan na karti wo mehsoos Jeeta usko haarke khushi mai bhi afsoos Kho chuka hu iss tarah ki khud mai khud ki khoj Basera hai andhero ka shama tou jalti roz Jo shayriyan likhi tujhpe sunayi na kisi ko Jo gham palte hai seenay mai dikhaye tou chupe wo Gham sirhaane rakhke sote khuwaabo mai dikhe wo Koshish apne haath mai hota chahe khuda jo Mai chal raha hu raste pay manzil ki kuch khabar nahi Mai bhatak gaya hu raaston pay ghar ki hai fikar lagi Rehti aankhe sada laal tou maa kehti ki nazar lagi Kaise kahu unko ab ye zindagi bikhar chukhi (Zindagi Bikhar Chuki)
Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out